Sunday, November 29, 2009

Bikra pada hai Pratibimb



Bikhra pada hai Pratibimb ya shayad nam hai sat mera,

kuch geela kuch sookha, kuch tapta kuch bhujta,

kuch nabh shwet sa kuch nabh saanjh sa...

hai peetaraa sapno ka uddhdaa sa aur khwaabo ki ginti bhi nahi,

kuch dehte kiley lehro se aur kuch palko se udte...

choraho ki sadken aur maddham se raste,

faasley labo ke aur kuch mannate kisi benaam ke vaste,

bada shehar aur dewaroo ki sikudan,

ghoot te sannate aur ashant manthan...

kya poochoo kisi peer se, kya poochoo ek ram ek rahim se,

kyo jaljala hai baag main, kyo bachpan bhooka nanga boojhta raakh hai,

kyo mandeero ke darwaje hai band raat main, kyo jagaataa hai koi aarzo toot- te taaro pe,

kyo lahooluhaan hai vo khat sarhad paar se...

chillate kagaaz aur mook ek siyaahi,

berang se rang aur murjaaye man,

kaal ki halchal aur aaj ka ek bhayanak swapn,

jhookti saanse aur ek vishal ban...

kya poochoo main ab kya jaanoo ab

ki ek aas hai zeene ke liye aur ek saans hai marne ke liye,

ek swapn hai adhoora aur kuch neend hai baaki,

ek desh ye hai, ek desh vo hoga,

chalti hogi hawa wanha bhi, yanha bhi koi dam todta hoga...

.......................................................................................................

.......................................................................................................

.......................................................................................................

No comments: